Kay Kay & Shreya Ghoshal

Kab Tujhe Zindagi Se Jod Liya

by Kay Kay & Shreya Ghoshal

kab tujhe zindagi se jod liya, ajnabi humko kuchh pata na chala
kab tujhe khud pe humne odh liya, ajanabi humko kuchh pata na chala
tere liye hai mere jism-o-jaan, tere liye hai mere shaam-subah
kab tujhe zindagi se jod liya, ajnabi humko kuch pata na chala
kab tujhe khud pe humne odh liya, ajanabi humko kuch pata na chala

(teri chaahat ne meri zindagi sajaayi hai
dil ke viraane mein chhupke se bahaar aayi hai) - 2
kab hasin zindagi ne mod liya, ajnabi humko kuchh pata na chala
kab tujhe zindagi se jod liya, ajnabi humko kuchh pata na chala

(jisaki khwaaish thi hume tune abb woh shab di hai
jitni tanhaayi thi jeene mein sab woh bhar di hai) - 2
kab hume humse tune tod liya, ajnabi humko kuchh pata na chala
kab tujhe zindagi se jod liya, ajnabi humko kuchh pata na chala

(abb to har lamha tere saath hum bitaayenge
khud bhi sawarenge, tere ghar ko sajaayenge) - 2
kab yahi dil hi dil mein soch liya, ajnabi humko kuchh pata na chala
kab tujhe zindagi se jod liya, ajnabi humko kuchh pata na chala
tere liye hai mere jism-o-jaan, tere liye hai mere shaam-subah

Song Comments
On Kab Tujhe Zindagi Se Jod Liya by Kay Kay & Shreya Ghoshal

Must have JavaScript enabled to comment.